Shree Shyam Aarti
Om jai shree shyam hare, baba jai shree shyam hare
Khatu dham birajat, anupam roop dhare, om jai shree shyam hare…
Ratan jadit singhasan, sar per chanvar dhule
Tan kehariya bago, kundal shravan pade, om jai shree shyam hare…
Gal pushpon ki maala, sir per mukut dhare
Khevat dhoop, agni par, deepak jyoti jale, om jai shree shyam hare…
Modak, kheer, choorma, suvaran thaal bhare,
Seval bhog lagavat, seva nitya kare, om jai shree shyam hare…
Jhanj, katora aur ghadiyaval, shankh mridang ghure,
Bhakt aarti gaave, jai jai kaar kare, om jai shree shyam hare…
Jo dhyave fal paave, sab dukh se ubre,
Sevak jan nij mukhse, shree shyam shyam uchre, om jai shree shyam hare…
Shree shyam bihariji ki aarti, jo koi nar gaave
Kehat sudhir agyaani, manvanchit fal paave, om jai shree shyam hare…
Om jai shree shyam hare, baba jai shree shyam hare,
Nij bhaktom ke tumne, pooran kaaj kare, om jai shree shyam hare…
Hath Jod Vinti Karu, Sunio Chit Lagaye.
Hath Jod Vinti Karu, Sunio Chit Lagaye.
Das Aa Gayo Sharan Me, Rakhio Mahari Laaj.
Dhanya Dudharo Desh Hai, Khatu Nagar Sujjan.
Anupam Chavi Shri Shyam Ki, Darshan Se Kalyan.
Shyam-Shyam To Ma Rattu, Shyam Hai Jiwan Pran.
Shyam Bhakat Jag Me Bade, Unko Karu Parnam.
Khatu Nagar Ke Beech Me, Banyo Apko Dham.
Phalgun Shukla Mela Bhare, Jai Jai Baba Shyam
Phalgun Shukla - Dwadashi, Utsav Bhari Hoye.
Baba Ke Darbar Se, Khali Jaye Na Koye.
Umapati, Laxmipati, Sitapati Shriram.
Lajja Sabki Rakhiyo, Khatu Ke Baba Shyam.
Paan Supari Ilachi, Attar Sugandh Bharpur.
Sab Bhaktan Ki Vinti, Darshan Devo Hazoor.
'Alusingh' To Prem Se, Dhare Shyam Ko Dhyan.
Shyam Bhakat Pawe Sada Shyam Kripa Se Maan.
"Jai Shree Shyam "
http://allmusicinoneplace.blogspot.in/
No comments:
Post a Comment